Saturday, May 10, 2008







SHAYERI
Faasle mita kar aapas mein pyar rakhna,
pyar ka rishta yu hi barkaraar rakhana,
bichar jae kabhi aap se hum,
to ankho mein hamesha hamara intezaar rakhna..

************ ********

Zindagi hai nadan isliye chup hoon,
Dard hi dard subah shaam isliye chup hoon,
Keh deta zamane se dastan apni......
Usme ayega tera naam isliye chup hoon.....

************ ********

Dono aankho mein ashq liya karte hain,
Hum apni neend mein tera naam liya karte hain.
Jab bhi aaye Hichkiyaan tumhe,
Samajh lena hum tumhe yaad kiya karte hain....

************ ********

Aur kuch nahi chahiye ek muskan hi kafi hai,
dil main bas ek Tamanna hi kafi hai,
Tamanna hai ye ki aap sada kush raho ,
hamen yaad rakhna ye ehsaan hi kafi hai.



No comments: